Friday, January 11, 2008

Yeh meri ghazlein yeh meri nazmein

Tamaam Terii Hikayaate hai

Yeh Tazakre Tere Lutf ke hai

Yeh Shai’r teri shikayate hai

Main sab Teri nazar kar raha hoon

Yeh Un Zamaano ki Saaete hai

Jo zindagi ke naye safar mein

Tujhe kisi waqt yaad aaye

Toh eik eik harf jee uthega

Pahan ke Anfaas ki kabayein

Udaas Tanhahiyo ke Lamho

Mein naach uthengi yeh apsarae

Mujhe tere dard ke alawa bhi

Aur dukh the yeh Jaanta hoon

Mujhe khabar thi ki tere Aanchal

Mein Dard ki Raeth Chahnta hoon

Magar har bar tujhko chookar

Yeh raeth Range hina bani hai

Yeh zakhm gulzar ban Gaye hai

Yeh aahe soze ghata bani hai

Yeh dard Mauje saba Hua hai

Yeh aag dil ki sada bani hai

Aur ab yeh sari mataye hasti

Yeh phool yeh zakhm tere hai

Yeh dukh ke nauhe yeh sukh ke naghme

Jo kal mere the who ab tere hai

Jo teri kurbat teri judai

Mein kaat gaye rozo shab Tere hai

Woh tera shayeer tera mughanni

Woh jiski baatein ajeeb si thi

Woh jiske andaaz khusoorwana the

Aur adaye gareeb si thi

Who jiske jeene ki khwahish bhi

Khud uske apne naseeb si thi

Na pooch uska ki who dewaana

Bahot dino ka ujad chukka hai

Who kohkan to nahi tha lekin

Kadi chattano se lad chukka hai

Woh thak chuka hai aur uska teeshaa

Usi ke seene mein gad chukka hai.



Ahmad Faraz Sb

No comments: